Search This Blog

PostHeaderIcon Zamana kahe khoobsurat hain hum

Zamana kahe khoobsurat hain hum
Nazron ki khwaish,nazmon ki justaju hain hum
Khoobsurati se aur khoobsurat jo hay
Us khoobsurti ki tarif hain hum
Zamana kahe khoobsurat hain hum

Dharkan ko yakeen na ho
Aisi sawan ki khooshboo hain hum
Patjhar ke foolonki nazaqat jo hay
Us nazron ki haya hain hum
Zamana kahe khoobsurat hain hum

Asim ko allah ki karam ho
Aisi karam ki barish hain hum
Woh jism me jo aag lagaye
Aisi barsaat ke araish hain hum
Zamana kahe khoobsurat hain hum

Aag ko bujhaye to arz ho
Un tamam rangon ki tarannum hain hum
Dhun jab bewafai kar baithe
Woh awaz ki saaz hain hum
Zamana kahe khoobsurat hain hum

Khoobsurti ki shayri kahiyeto
Us nazmon me sawal hain hum
Sawalon ka halal ho in haatonse
To woh bamisaal jawab hain hum
Zamana kahe khoobsurat hain hum

Yeh daag jo mit-ti nahin damanse
Woh daag ki raushnayi hay hum
Zamaneki raushanara badnaseebi ki dilruba hain hum
Jis khoobsurti ki taugin kare ruswayi
Us khubsurti se asim hain hum
Takhdeer jo zindegi se bewafai kare
Us zindegi ke mazak hain hum

0 comments: