Search This Blog

PostHeaderIcon Yaad Aata Hai

Tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai
Khushi me guzra huwa ek zamana yaad aata hay
Itni door ho gayi ho humse tumhe bula bhi nahi sakte
Aankhe bandh karte hi tumhara chehra yaad aata hai
Kaise bhuladu tumhe ab tum hi batado Sanam
Kiya tha kabhi jo tumse wo wada yaad aata hai.
Kabhi jaker sagar kinare banaya tha jo gharonda humne
Aaj toota huwa ret ka wo mahel yaad aata hai.
Kabhi socha na tha maine hum yu bichhad jayenge
Bachpan ka wo roothna wo manana yaad aata hai.
Char pal wo Zindagi ke wo mehfilo ki roshni
Deepak ke ujale me bhi gum ka andhera yaad aata hai.
Ab to iss tanhayi me ghoont ke mar jayenge hum
Hum se wo chhoota huwa tumhara daaman yaad aata hai.
Aankhse nikal pade hai aansoo hath bi ab thum gaye hai
Mai poochhta hu apne aapse aur kya kya yaad aata hai.

0 comments: