Search This Blog

Blog Archive

PostHeaderIcon do sharabi - ek kissa !

Pehla Sharabi - Zamana gardish mein jhoomta hai,
Nashe nigahon ko aa rahe hain,
Who haath zinda rahein khudaya
Jo mujhko Whisky pila rahe hain

Doosra Sharabi- Janab, kya app hosh mein hain
Agar aisa hai, to aur lijiye
Sharabkhane mein aye hain to
Khudi ko gark-e-sharab kijiye

Pehla - Nasha bahut ho gaya hai sahib
Na aur dijiye sharab mujhko
Ki, ek bara saanp lag raha hai
Ye lamba lamba kabab mujhko

Doosra - Kabab to behtarin milte hain
Sham ko mere ghar kea age
Aur aise khasta ki toot jaayein
Agar na lipte hon unpe dhaage

Pehla - Pata Janab apne ghar ka, is
Khaksaar ko bhi batayiega…

Doosra - Ye mera Card hai sahib
Jaroor tashrif layiega….

Pehla - 18 Number? Nizaam Manzil?
Ye mere ghar ka pata hai Sahab?

Doosra - Mangaa dun Taxi, bahut nasha
Aap ko agar ho gaya hai sahib?

Pehla - Nashe mein koi bhi apne ghar ka
Pata nai bhulta hai Mister..

Doosra - Bahut si pee le to maa-behan tak
Ko bilyakin bhulta hai Mister

Pehla - Mere Mukarram! Yakin kar lo
Behak gaye ho, nashe mein gum ho

Doosra - To goya ‘Farhat’ ke naam par jo
Makan hai, us ke makin tum ho?

Pehla - Kasam khuda ki 18 Number
Nizam Manzil, mera makan hai

Doosra - Kiraya deti hai uska Farhat
Tu keh raha hai tera makan hai

Pehla - Nashe mein kehta hun saaf tujhse
Bahut hai Farhat ko pyar mujhse

Doosra - Zubaan ko de lagam warna
Tu aaj khayega maar mujhse

Pehla - Jo haath mujh par kabhi uthaya
Talak le legi Farhat tujhse

Doosra - Woh tujhko Sandal se peet degi
Ishk karti hai mujhse Farhat

Pehla - Agar tujhi se woh ishk karti
Gale lagati na woh mujhko bhi

Doosra - Abhi jahunnum mein bhejta hoon
Tere nashe ko bhi aur tujhe bhi

Pehla - Galaa mat pakran, hata le apne
Ye haath gande, ye kaale kaale

Doosra - Tabah kar dunga, maar dalunga
Main na chhodunga tujhko saae

Pehla - 18 Number, Nizaam Manzil mein
Bol beta, kabhi ghusega?

Doosra - Tumhari maa ko gale lagaane
Tumhara ye baap abhi ghusega…

Pehla - Kamine Kutte! [fate girabaan]
Zalil paaji! [gayi wo tie]

Doosra - Suaar ke bachche [gilas tute]
Haramzaade! [giri tipaayi]


Teesra Sharabi - Hasin hai mausam, samaa hai rangeen
Laro nai bhai! Baaz aao
Arey o baira! Ye kya garbar hai?
Ye mar na jaayein, inhe chhurao

Baira - Janab, ye dono baap-bete hain
Bhool jaate hain roz pee ke
Ye dono rehte hain ek hi ghar mein
Dhoom machaate hain roz pee ke

Teesra - Magar, Wo Farhat ka kya kissa hai?
Jo ban gayi zebe-dastaan hai..

Baira - Aji, wo hai ek nek aurat
Jo ‘Is’ ki biwi, aur ‘Us’ ki Maan hai….

0 comments: