Search This Blog

PostHeaderIcon aadin aansuo se na ho daman kisi ka maila

Kabhi sath chalkar kabhi mujhe sath lekar
badal gaya wo sakhs mere halat badal kar

jispe hua tera karam wo khushnaseeb hoga
mere armaan bah gaye ashko ke sath dhalkar

tere julfo ke saaye dil aaj bhi dhundta hai
kabhi kali ghata bankar kafi chawn bankar

roshan hui hai shama uth ke mahfil se meri
mere charag bujh rahe hai teri yaad me jalke

aye khuda de pata mujhe mere sukoon-e-yaar ka
jo chip gaya hai kahi mere jabaat badalkar

aadin aansuo se na ho daman kisi ka maila
aaino ka sahar hai ye le saans bhi sambhal ke

0 comments: