Search This Blog

PostHeaderIcon jaise ki maut ko aadin kabhi aana na tha

ishq ka dushman ye sara jamana na tha
jise chaha hamne usne apna jana na tha

mahfil me jakar karte bhi to kya karte
jab dard ye kisi ko sunana bhi na tha

hasrat to bahut thi jindagi se hamko
kya karte jeene ka koi bahana na tha

ankhen khuli kabra me raah dekhti rahi
tum na aaye aur tumhe aana bhi na tha

Ek maikada hi tha hamare dard ka rahbar
duniya me apna koi thikhana bhi na tha

ab kyun rote ho aaka meri kabra pe aakar
jaise ki maut ko aadin kabhi aana na tha

By - Aadin

0 comments: